
1236
Aarti
Shri Kali Mata Ki Aarti
Mangal ki seva sun meri Deva, haath jod tere dwaar khade ।
Paan supaari dhwaja nariyal, le jwaala teri bhent dhare ॥1॥
Jagdambe na kar vilambe, santan ke bhandaare bhare ।
Santan pratipaali sada khushhaali, jai Kaali kalyaan kare ॥2॥
Buddhi vidhaata tu jag mata, mera kaaraj siddh kare ।
Charan kamal ka liya aasra, sharan tumhaari aan pade ॥3॥
Jab jab bheer padi bhaktan par, tab tab aap sahaay kare ।
Guru ke vaar sakal jag mohyo, taruni roop anoop dhare Mata ॥4॥
Hokar putra khilaave, kahi bhaarya bhog kare,
Shukra sukhdaai sada sahaai, sant khade jaikaar kare ॥5॥
Brahma Vishnu Mahesh phal liye, bhent tere dwaar khade ।
Atal sinhaasan baithi meri Mata, sir sone ka chhatra phire,
Vaar Shani-char ॥6॥
Kukum barano, jab lakad par hukam kare ।
Khadag khappar trishul haath liye, Raktbeej ko bhasm kare ॥7॥
Shumbh Nishumbh ko kshan mein maare, Mahishasur ko pakad dale ।
Aadit vaari Aadi Bhavani, jan apne ko kasht hare ॥8॥
Kupit hokar danav maare, Chand-Mund sab choor kare ।
Jab tum dekhi daya roop ho, pal mein sankat door kare ॥9॥
Saumya swabhaav dharyo meri Mata, jan ki arj qabool kare ।
Saat baar ki mahima barni, sab gun kaun bakhaan kare ॥10॥
Singh peeth par chadhi Bhavani, atal bhavan mein raajya kare ।
Darshan paave mangal gaave, siddh saadhak teri bhent dhare ॥11॥
Brahma Ved padhe tere dwaare, Shiv Shankar Hari dhyaan dhare ।
Indra Krishna teri kare aarti, chanvar Kuber dulaay rahe ॥12॥
Jai Janani jai Maatu Bhavani, atal bhavan mein raajya kare ।
Santan pratipaali sada khushhaali, maiya jai Kaali kalyaan kare ॥13॥
